Adhuri Prem kahani
Aaj Tak Main Vo Din Nahi Bhoola Hun Jab Bahot Zidd Karne Ke Baad Papa Se 10 Rs. Liye The Kyunki Us Din Jab Teacher Ne Tumse Pucha Tha Tumhe Kya Pasand Hai To Tumne Kaha Tha Mam Mujhe Gol-Gappe Bahot Pasand Hai.
Isliye Main Bhi Tumhe Gol-Gappe Khilana Chahta Tha. Kyunki Tum Mujhe Bahot Acchi Lagti Thi. Tumhara Aur Mera Ghar Aaju-Baju Mai Tha Aur Raste Mai Raju Gol-Gappe Vale Ki Shop Thi. Us Din Main Bahot Zyada Khush Tha. Light Blue Color Ki School Ki Pant Mai 5-5 Ke Sikke Khanak Rahe The Khushi Aankho Se Jhalak Rahi Thi , Main Khud Ko Is Zameen Ka Sabse Ameer Aadmi Samjah Raha Tha. Shayad 10 Rs. Mujhe First Time Mile The Aur Tujhe Gol-Gappe Khilakar Surprize Bhi To Dena Tha Yar.
School Ki Chutti Hone Ke Baad Bahot Himmat Karke Tumse Bola "Neha" Hamara Ghar Paas Hi Hai Aaj Mere Sath Ghar Chalo Na ? Halanki Hum Acche Dost The Lekin Itne Bhi Acche Nahi The Ki Tum Mujhpar Yaqeen Kar Leti. Maini Aari Hun Main Kyu Aaun Tere Sath Tune Gusse Mai Bola .
Please Chalo Na Mujhe Tujhe Kuch Surprize Dena Hai Main Badi Himmat Karke Bola. Ye Sunkar Tu Aur Gusse Mai Aa Gayi Kyunki Class Mai Meri Image Loffer Type Ladke Ki Thi Main Bahot Badmash Aur Noughty Type Ka Tha.
Main Ja Hi Raha Tha Tu Aakar Boli Accha Main Chalungi Lekin Tu Mujhse 4 Feet Door Rehna Na Jane Tere Mann Mai Mere Sath Jane Ki Baat Kaise Aa Gayi Thi Lekin Mujhe Itna Sochkar Kya Karna Tha Tune Haa Kardi Thi Yahi Khushi Ki Baat Thi Mere Liye To Main Muskurate Hue Kaha Chal Theek Hai Main Tujhse 4 Feet Door Hi Rahunga. Hum Chalane Lage Aur Main Mann Hi Mann Soch Raha Tha Tujhe Teri Favourite Cheez Khilaunga Aur Shayad Isi Vajah Se Tere Dil Ki Gehraiyo Mai Mere Pyar Ke Beej Ug Jayen. Main Soch Hi Raha Tha Itne Mai Raju Gol Gappe Vale Ki Shop Aa Gayi Aur Main Ruk Gaya. Tune Cute Sa Face Banakr Pucha Ruke Kyu Ho ?
Maine Tujhse Pucha Are Neha ! Gol-Gappe khaogi Na ?
Tune Khush Hote Hue Kaha Haa Kyu Nahi Ye To Meri Jaan Hai Koi Gol-Gappe Khilaye Aur Main Mana Kar Dun Bhala Aisa Ho Sakta Hai Kya Pagal. Teri Aankhon Mai Chamak Thi Aur Meri Aankho Mai Tere Liye Pyar.
Tab 1 Rs. Ke 3 Gol-Gappe Aate The . Maine Raju Bhaiya Se Bola Bhaiya Zara 5 Rs. Ke Gol-Gappe To Khilao Zara.
Raju Bhaiya Mere Paas Aakar Bole Abhi Khilata Hun Fir Neha Ko Dekhkar Dhire Se Mere Kaan Mai Bole Ye Girl Friend Hai Ka ? Main Haste Hue Bola Na Na ! Bhaiya Aap Bhi Na Kuch Bhi....
Raju Bhaiya Ne Gol-Gappe Mai Paani Daalkar Tujhe Pakdaya Hi Tha Tu Bahot Zor Se Chillayi Ravi - Ravi..... Itne Mai 1 Smart Sa Ladka ( Shayad Dusre School Ka Hoga) Jiske Samne Mai Aisa Tha Jaise Gud Ke Samne Shakkar Red Color Ki Karizma Bike Par Hamare Paas Aaya Aur Aakar Tujhse Bola 'Neha ' Main Tumhare School Se Hi Aa Raha Hun . Kaho Na Pyar Ke 2 Ticket Karaye Hai Chalo Jaldi Betho Bike Par.

Very very interesting dear
ReplyDelete